Friday, September 3, 2010

kathin hai zindagi itni
safar dushwar kitna hai
kabhi paon nahi chaltay
kabhi rasta nahi milta
hamara saath dai pai
koi aisa nahi milta
faqat aisay guzaro tou
ya roz-o-shab nahi kat'tay
ya kat'tay thay kabhi pahlay
magar han...
ab nahi kat'tay
mujhay phir bhi meray MALIK
koi shikwa nahi tujh sai
main jaan per khail sakta hon
agar tou aaj hi ker dai
MOHABBAT HUMSAFAR MERI!!!

No comments:

Post a Comment