|
!! Jidhar Bhi Dekhta Hoon !! jidhar bhi dekhtaa hoon tanhaai nazar aati hai aapke intzaar mein har shaam guzar jaati hai main kaise karun gilaa dil ke zakhmon se huzoor aansu chhalakte hain meri soorat nikhar jaati hai tod diye hain maine apne ghar ke saare aayine meri rooh mera hi chehraa dekh ke darr jaati hai ro ke halke ho lete hain zara se teri yaad mein... zara si na-muraadon ki tabiyaat sudhar jaati hai asar karti yakeenan agar choo jaati unke dil ko lekin afsos ke aah meri fizaaon hi mein bikhar jaati hai maikade mein jab bhi zikar aata hai tere naam ka shaam ki pee hui sar-e-shaam hi utar jaati hai kabhi aa ke mere zakhmon se muqaabilaa to kar ae khushi tu mooh chhuppaa ke kidhar jaati hai tujhe inhi kaanton pe chal ke jaana hoga unke ghar ko bas yahi aik rehguzar jaati hai |
~ये बंदिशें* :: "बहुत अजीब हैं ये बंदिशें मोहब्बत की... न उसने क़ैद में रखा, न हम फरार हुए..."
Tuesday, March 2, 2010
!! Jidhar Bhi Dekhta Hoon !!
Subscribe to:
Post Comments (Atom)
No comments:
Post a Comment